»
Jaane kyu log hame aajmate hai,
kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai,
sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad,
log barish ko bhul jate hai...
»
Toota ho dil to dukh hota hai,
Karke mohabbat kisi se ye dil rota hai,
Dard ka ehsaas to tab hota hai jab,
Kisi se mohabbat ho aur uske dil mei koi aur hota hai..
»
Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai..
»
Teri yaadon ke chiragon ko jalaya har shaam,
Teri baato ko seene Se lagaya har shaam,
Maangi khuda se teri khushi ki duayein,
Tanha baith ke haatho ko uthaaya har shaam...
»
Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain,
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain,
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To,
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!
»
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain,
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain.
»
Tujse dosti karne ka hisab na aya,
Mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
Hum to jagte rahe tere hi khayalo me,
Aur tujhe so kar bhi hamara khawab na aya.
»
Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The,
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The,
Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko.
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The..
»
Na milta gam to barbaadi ke afasaane kaha jaate,
Duniya agar hoti chaman to wiraane kaha jaate,
Chalo acha hua apno me koi gair to nikla,
Sabhi agar hote apne to begane kaha jaate
»
Kab Howi pyar ki Barsat Mujhe Yaad Nahi,
Khof mein doobi mulaqat Mujhe Yaad Nahi,
Mai to Madhosh tha kuch itna Uski Chahat Mein,
Us Ne Kab Chorr Diya Sath Mujhe Yaad Nahi.
»
Sapna ek lekin mushkile hazar hai,
Tanhayi aur gum to mere bachpan ke yaar hai,
Ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hai,
kyunki is zindagi me hume sirf bewafao se pyaar hai..