| ATMOB.xtgem.com New Mobile World Atmob... |
Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya,
Jitna aapke milne ka karte hain.
Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai..
Kabhi ek lamha aisa bhi aata hai,
Jisme beeta hua kal nazar aata hai.
Bas yaaden reh jati hai yaad karna ke liye,
Aur waqt sab kuch lekar guzar jata hai.
Uski nazar ko furst na mile hogi,
Warna mera marz itna lailaaj na tha,
Humne toh wahan bhi mohabbat hi ki ,
Jahan mohabbat ka riwaaj na tha..
Meri Tanhai ka mujhe gila nahi,
kya hua jab koi mujhe mila nahi.
phir bhi dua karenge aapke vaaste,
aap ko wo sab mile, jo mujhe mila nahi..
Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi us ke paas hai..
Aaj halji halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phoos bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai.
Woh aate to hai par samay se nahi,
Woh chalte to par man se nahi,
Kaun kehta hai kee woh payar nahi karte,
Karte to hai par hum sey nahi..
Saare Shikwe Janab Tere Hai,
Dil Pe Saare Azaab Tere Hai,
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati,
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai..
Socha tha jab milenge raah chalte kabhi,
dil ki baaten juban par na aane denge,
hamne lab khole bhi nahi aur wo sab jaan gaye,
khaamoshiyon ko samazne ki wo adaa unme aaj bhi hai..
Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi..